Title | : | 01 | Jis Simt Bhi Dekhon Nazar Ata Hai Ke Tum Ho | Ahmad Faraz | Ghazal |
Duration | : | 03:01 |
Viewed | : | 0 |
Published | : | 20-11-2022 |
Source | : | Youtube |
Gunjeena is a contemporary channel of Urdu literature. Here you will find Ghazal, Nazam, Qasida, Marsia, Masnavi, Rubaii, Fictions, Novels, Nasar, Biographies, and many more about the classical, traditional and modern Urdu Language
جس سمت بھی دیکھوں نظر آتا ہے کہ تم ہو
اے جان جہاں یہ کوئی تم سا ہے کہ تم ہو
jis simt bhi dekhon nazar ata hai ke tum ho
ay jaan-e-jahan ye koi tumsa hai ke tum ho
یہ خواب ہے خوشبو ہے کہ جھونکا ہے کہ پل ہے
یہ دھند ہے بادل ہے کہ سایا ہے کہ تم ہو
ye khwab hai, khushboo hai, ke jhonka hai, ke pal hai
ye dhund hai, badal hai, ke saya hai, ke tum ho
اس دید کی ساعت میں کئی رنگ ہیں لرزاں
میں ہوں کہ کوئی اور ہے دنیا ہے کہ تم ہو
es deed ki sa'at mai kai rang hai larzaan
mai hoon ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری
دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو
dekho ye kisi aur ki aankhain hain ke meri
dekhon ye kisi aur ka chehra hai ke tum ho
یہ عمر گریزاں کہیں ٹھہرے تو یہ جانوں
ہر سانس میں مجھ کو یہی لگتا ہے کہ تم ہو
ye umr-e-gurezaan kahin thehrey tu ye jano
har saans main mujh ko yahi lagta hai ke tum ho
ہر بزم میں موضوع سخن دل زدگاں کا
اب کون ہے شیریں ہے کہ لیلیٰ ہے کہ تم ہو
har bazm main muzu-e-sukhun dil-e-zadgan ka
ab koun hai, shereen hai, ke laila hai, ke tum ho
اک درد کا پھیلا ہوا صحرا ہے کہ میں ہوں
اک موج میں آیا ہوا دریا ہے کہ تم ہو
ek dard ka phaila howa sehra hai ke tum ho
ek mouj mai aya howa darya ke tum ho
وہ وقت نہ آئے کہ دل زار بھی سوچے
اس شہر میں تنہا کوئی ہم سا ہے کہ تم ہو
wo waqat na aye ke dil-e-zaar bhi sochay
ess shehr mai tanha koi tumsa hai ke tum ho
آباد ہم آشفتہ سروں سے نہیں مقتل
یہ رسم ابھی شہر میں زندہ ہے کہ تم ہو
abaad hum ashifta sarron se nahi maqtal
ye rasam abhi shehr mai zinda hai ke tum ho
اے جان فرازؔ اتنی بھی توفیق کسے تھی
ہم کو غم ہستی بھی گوارا ہے کہ تم ہو
aye jaan-e-'faraz' itni bhi taufeeq kesay thi
hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ke tum ho
#urdupoetry #urdu #urdunazam #gham #ghazal #faraz #ahmad #ahmadfaraz #ahmadfarazpoetry #ahmadfarazshayari #ahmadfarazghazal #simt #nazar #jaan #jahan #jaanejahan #khwab #khushboo #jhunka #pal #dhund #badal #saya #deed #rang #duniya #aankhain #chehra #umar #umr #gurezaan #umregurezaan #saans #bazm #sukhan #dilezadgaan #shireen #laila #dard #sehra #mouj #darya #waqat #waqt #sooch #shehr #tanha #abaad #ashifta #maqtal #rasam #ghamehasti #hasti #taufeeq #jaan #gunjeena #urduadab #poetry #pakistan #hindustan #indianpoetrylovers #indianpoet #pakistanipoet #pakistanipoetry #pakistanipoetrystatus
SHARE TO YOUR FRIENDS
Scan me