Title | : | MEHDI HASSAN,LONDON ALBERT HALL,70 MINUTES OF EXCELLENT GHAZALS, |
Duration | : | 01:30:01 |
Viewed | : | 1,971,932 |
Published | : | 27-09-2011 |
Source | : | Youtube |
1. Baat Karni Mujhe Mushkil - Poet: Bahadur Shah Zafar
2. Mujhe Tum Nazar Se - Poet: Masroor Anwar Film: Doraha (1967) - Music: Sohail Rana
3. Pyar Bhare Do Sharmile Nain -Poet: Khawaja Parvez Film: Chahat (1974) - Music: Robin Ghosh
4. Rafta Rafta Wo Meri - Poet Tasleem Fazli Film: Zeenat - Music: Nashad
5. Humein Koi Gham Nahin Tha - Poet: Faiyaz Hashmi Film: Shab Ba Khair (1967) - Music - Safdar
6. Shola Tha Jal Bujha Hoon - Poet: Ahmed Faraz
7. Mohabbat Karnewale - Poet: Hafeez Hoshiyarpuri
8. Zindagi Mein to Sabhi - Poet: Qateel Shifai
Thanks to Imran Siddique for the following:
1. Baat Karni Mujhe Mushkil - Bahadur Shah Zafar
bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi
le gaya chin k kaun aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi
un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu
k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi
aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi
kya sabab tu jo bigarta hai "Zafar" se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi
******************************************************
2. Mujhe Tum Nazar Se
mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhi bhi bhulaa na sakoge
na jaane mujhe kyuN yaqin ho chalaa hai
mere pyaar ko tum miTaa na sakoge
meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
kabhi nagmaa banke, kabhi banke aaNsoo
tadaptaa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayee hai meri vafaa ne
bujhaana bhi chaaho bujhaa na sakoge
kabhi naam daanton mein aayaa jo meraa
to bechain ho ho ke dil thaam loge
nigaahon mein chhaayegaa gham kaa andheraa
kisi ne jo poochhaa sabab aansuon kaa
bataanaa bhi chaaho bataa na sakoge
***************************************************
3. Pyar Bhare Do Sharmile Nain
pyar bhare do sharmile nain, jinse mila mere dil ko chain
koyee jane naa kyun mujhse sharmaye, kaise mujhe tadpaye
dil yeh kahe git mai tere gau, tu hee sune aur mai gata jau
tu jo rahe sath mere, duniya ko thukrau teraa dil bahlau
rup teraa kaliyo ko sharmaye, kaise koyee apne dil ko bachaye
pas hai tu phir bhee jalu, kaun tujhe samjhaye savan bita jaye
dar hai mujhe tujhse bichhad naa jau
kho ke tujhe milne kee rah naa pau
aisa naa ho jab bhee teraa
nam labon par lau, mai aansu ban jau
**********************************************************
4. Rafta Rafta Wo Meri
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pehle Jaan Phir Jaan-e-jaan Phir Jaan-e-jaana Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Deen-ba-deen Badhti Gayi Iss Husn Ki Ronaiya
Pehle Gul Phir Gulbadan Phir Gulbadama Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Aap Tou Nazdik Se Nazdik-tar Aate Gaye
Pehle Dil Phir Dilruba Phir Dil Ke Mehman Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pyaar Jab Haad Se Badha Saare Taqalloufh Mit Gaye
Aapse Phir Tum Houe Phir Tu Ka Unwan Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pehle Jaan Phir Jaan-e-jaan Phir Jaan-e-jaana Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
5. Hamein koi gham nahi tha teri aashiqui say pahle:
हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-इ-आशिकी से पहले
न थी दुश्मनी किसी से तेरी दोस्ती से पहले
hamein koi gham nahin tha, gham-e-aashiqii se pehle
na thi dushmanii kisii se, teri dosti se pehle
है ये मेरी बद-नसीबी तेरा क्या कुसूर इस में
तेरे ग़म ने मार डाला, मुझे ज़िन्दगी से पहले
hai ye meri bad-naseebii, tera kya kusoor is mein
tere gham ne maar daala, mujhe zindagi se pehle
बद-नसीबी, Bad-naseebii: Bad fortune, bad luck, ill destiny, ill fate
कुसूर, Kusoor: Deficiency; decrease; defect; failure, want, default; omission; miss; shortcoming, error, faultiness, fault, sin; inaccuracy, incorrectness
मेरा प्यार जल रहा है, अरे चाँद आज छुप जा
कभी प्यार था हमें भी, तेरी चांदनी से पहले
mera pyaar jal raha hai, are chaand aaj chhup jaa
kabhi pyaar tha hamein bhi, teri chaandni se pehle
मई कभी न मुस्कुराता, जो मुझे ये इल्म होता
के हज़ार ग़म मिलेंगे मुझे इक खुशी से पहले
mai kabhi na muskuraata, jo mujhe ye ilm hotaa
ke hazaar gham milenge mujhe ik khushii se pehle
इल्म, Ilm: Knowledge, learning, science; literature; doctrine
ये अजीब इम्तिहान है की तुम्हीं को भूलना है
मिले कब थे इस तरह हम तुम्हें बे-दिली से पहले
ye ajeeb imtihaan hai ki tumhiin ko bhuulna hai
mile kab the is tarah ham tumhein be-dilii se pehle
अजीब, Ajeeb: Admirable, Extraordinary, Odd, Outlandish, Queer, Rare
इम्तिहान, Imtihaan: Trial, test, proof, experiment; examination; inquiry; temptation
दिली, Dilii: Of the heart, hearty, cordial; sincere, true; intimate
बे-दिली, Be-dilii: Uncaring, indifferent
SHARE TO YOUR FRIENDS
Scan me